dekh ai duniya babool ab phoolne falne lage
zakhm dil ke aakhirash ashaar mein dhalne lage
ped udaasi ka rakha hai dil mein ek is wajah se
chaanv mein uski agar kal ko ghazal palne lage
dang hai khud kii hi basti mein dhuaan vo dekhkar
bam kahaan fenke the usne ghar kahaan jalne lage
tu mere zindaan ke qisse zara sun ke to dekh
ain mumkin hai ki aazaadi tujhe khalne lage
khat likha kijeye na faani aaj ke bhi daur mein
kya pata kis daur mein ye taur phir chalne lage
देख ऐ दुनिया बबूल अब फूलने फलने लगे
ज़ख़्म दिल के आख़िरश अशआर में ढलने लगे
पेड़ उदासी का रखा है दिल में एक इस वजह से
छाँव में उसकी अगर कल को ग़ज़ल पलने लगे
दंग है ख़ुद की ही बस्ती में धुआँ वो देखकर
बम कहाँ फेंके थे उसने घर कहाँ जलने लगे
तू मेरे ज़िन्दान के क़िस्से ज़रा सुन के तो देख
ऐन मुमकिन है कि आज़ादी तुझे खलने लगे
ख़त लिखा कीजे न 'फ़ानी' आज के भी दौर में
क्या पता किस दौर में ये तौर फिर चलने लगे
As you were reading Shayari by Ananth Faani
our suggestion based on Ananth Faani
As you were reading undefined Shayari