ek muddat se ajab raat yahan taari hai | एक मुद्दत से अजब रात यहाँ तारी है

  - Haider Khan

ek muddat se ajab raat yahan taari hai
shehar jalte hain magar neend hamein pyaari hai

dhoop ko chaanv bataati hai zameen ko jannat
lag raha hai ki zabaan aap ki sarkaari hai

shor-e-bulbul hai gulistaan mein bahaaron ka hai rang
ye khabar hai to magar daava ye akhbaari hai

aap ki jaan ka sauda bhi vo kar saka hai
haakim-e-waqt agar aapka byopaari hai

be-dili se hi sahi hans ke nibhaate hain sabhi
rishtedaari hai jo darasl adaakaari hai

jism ik ghar hai jo baahar se bhara dikhta hai
aur andar hai jo bas dard ki almaari hai

karne padti hai kami apni hi raftaar mein kuchh
saath chalne mein kisi ke yahi dushwaari hai

ek ik chehra tahammul se padha hai unka
imtihaan le len vo poori meri tayyaari hai

एक मुद्दत से अजब रात यहाँ तारी है
शहर जलते हैं मगर नींद हमें प्यारी है

धूप को छाँव बताती है ज़मीं को जन्नत
लग रहा है कि ज़बाँ आप की सरकारी है

शोर-ए-बुलबुल है गुलिस्ताँ में बहारों का है रंग
ये ख़बर है तो मगर दावा ये अख़बारी है

आप की जान का सौदा भी वो कर सकता है
हाकिम-ए-वक़्त अगर आपका ब्योपारी है

बे-दिली से ही सही हँस के निभाते हैं सभी
रिश्तेदारी है जो दरअस्ल अदाकारी है

जिस्म इक घर है जो बाहर से भरा दिखता है
और अंदर है जो बस दर्द की अलमारी है

करनी पड़ती है कमी अपनी ही रफ़्तार में कुछ
साथ चलने में किसी के यही दुश्वारी है

एक इक चेहरा तहम्मुल से पढ़ा है उनका
इम्तिहाँ ले लें वो पूरी मिरी तय्यारी है

  - Haider Khan

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari