jo zabaan dete hain phir us se mukar jaate hain
laakh achhe hon nigaahon se utar jaate hain
haal jab hamko pata karna ho tera jaanaan
ham saba ban ke tire dar se guzar jaate hain
jab kabhi lab pe saja kar ke tabassum vo chalen
aaine ho ke hayaadar bikhar jaate hain
ye tilismi hai ki vo phool nahin hain phir bhi
ham se kaanton ki rifaqat mein sanwar jaate hain
bazm-e-jaanan mein mera naam pukaare jab vo
kitne chehron ke yahan rang utar jaate hain
jab kabhi koocha-o-baazaar se unka ho guzar
dil ko thame hue sab log thehar jaate hain
gham ke paimaane yun to khaali hi rahte hain magar
gahe-gahe ye tiri yaadon se bhar jaate hain
roz sochun ki tujhe ab na sitamgar main kahoon
phir tire mujhko diye zakham ubhar jaate hain
qais-o-farhad the ik ishq pe marte the jo
log ab ishq badalte hue mar jaate hain
is qadar hamko hai tanhaai ki aadat haider
apna hi saaya agar dekh len dar jaate hain
जो ज़बाँ देते हैं फिर उस से मुकर जाते हैं
लाख़ अच्छे हों निग़ाहों से उतर जाते हैं
हाल जब हमको पता करना हो तेरा जानाँ
हम सबा बन के तिरे दर से गुज़र जाते हैं
जब कभी लब पे सजा कर के तबस्सुम वो चलें
आइने हो के हयादार बिखर जाते हैं
ये तिलिस्मी है कि वो फूल नहीं हैं फिर भी
हम से काँटों की रिफ़ाक़त में सँवर जाते हैं
बज़्म-ए-जानाँ में मिरा नाम पुकारें जब वो
कितने चेहरों के यहाँ रंग उतर जाते हैं
जब कभी कूचा-ओ-बाज़ार से उनका हो गुज़र
दिल को थामें हुए सब लोग ठहर जाते हैं
ग़म के पैमाने यूँ तो ख़ाली ही रहते हैं मगर
गाहे-गाहे ये तिरी यादों से भर जाते हैं
रोज़ सोचूँ कि तुझे अब न सितमगर मैं कहूँ
फिर तिरे मुझको दिए ज़ख़्म उभर जाते हैं
क़ैस-ओ-फ़रहाद थे इक इश्क़ पे मरते थे जो
लोग अब इश्क़ बदलते हुए मर जाते हैं
इस क़दर हमको है तन्हाई की आदत "हैदर"
अपना ही साया अगर देख लें, डर जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haider Khan
our suggestion based on Haider Khan
As you were reading Dost Shayari Shayari