tumhaara milne aana phir gale lag kar bikhar jaana | तुम्हारा मिलने आना फिर गले लग कर बिखर जाना

  - Haider Khan

tumhaara milne aana phir gale lag kar bikhar jaana
laga is waqt ke pahiye ka ik pal ko thehar jaana

tumhaari yaad ki dehleez par jab bhi main aaya hoon
hua mehsoos ik pal mein hi sadiyon ka guzar jaana

andheri raat mein bhi jheel par banta tumhaara aks
kuchh aisa tha ki jaise chaand ka us par utar jaana

agar phir ik dafa tumne kiya aisa to gham kya hai
tumhaari to ada hai vaade kar kar ke mukar jaana

abhi kuchh aur din ham par meherbaan hai ghamon ki rut
abhi kuchh aur din likkha hai qismat mein nikhar jaana

tumhaare baad ab koi bhi is ghar mein na aa paaye
ise tum jaate jaate aaj apne gham se bhar jaana

तुम्हारा मिलने आना फिर गले लग कर बिखर जाना
लगा इस वक्त के पहिए का इक पल को ठहर जाना

तुम्हारी याद की देहलीज़ पर जब भी मैं आया हूँ
हुआ महसूस इक पल में ही सदियों का गुज़र जाना

अँधेरी रात में भी झील पर बनता तुम्हारा अक्स
कुछ ऐसा था कि जैसे चांद का उस पर उतर जाना

अगर फिर इक दफ़ा तुमने किया ऐसा तो ग़म क्या है
तुम्हारी तो अदा है वादे कर कर के मुकर जाना

अभी कुछ और दिन हम पर मेहरबाँ है ग़मों की रुत
अभी कुछ और दिन लिक्खा है क़िस्मत में निखर जाना

तुम्हारे बाद अब कोई भी इस घर में न आ पाए
इसे तुम जाते जाते आज अपने ग़म से भर जाना

  - Haider Khan

Andaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Andaaz Shayari Shayari