aaine ke roo-b-roo ik aaina rakhta hoon main | आइने के रू-ब-रू इक आइना रखता हूँ मैं

  - Tousief Tabish

aaine ke roo-b-roo ik aaina rakhta hoon main
raat-din hairat mein khud ko mubtala rakhta hoon main

doston waali bhi ik khoobi hai un mein is liye
dushmanon se bhi musalsal raabta rakhta hoon main

roz-o-shab main ghoomta hoon waqt ki pur-kaar par
apne chaaron samt koi dayra rakhta hoon main

khatkhatane ki bhi zahmat koi aakhir kyun kare
is liye bhi ghar ka darwaaza khula rakhta hoon main

aaj-kal khud se bhi hai ranjish ka koi silsila
aaj-kal khud se bhi thoda fasla rakhta hoon main

chand yaadein ek chehra ek khwaahish ek khwaab
apne dil mein aur kya un ke siva rakhta hoon main

chand tasveerein kitaaben khushbuen aur ek phool
apni almaari mein taabish aur kya rakhta hoon main

आइने के रू-ब-रू इक आइना रखता हूँ मैं
रात-दिन हैरत में ख़ुद को मुब्तला रखता हूँ मैं

दोस्तों वाली भी इक ख़ूबी है उन में इस लिए
दुश्मनों से भी मुसलसल राब्ता रखता हूँ मैं

रोज़-ओ-शब मैं घूमता हूँ वक़्त की पुर-कार पर
अपने चारों सम्त कोई दायरा रखता हूँ मैं

खटखटाने की भी ज़हमत कोई आख़िर क्यूँ करे
इस लिए भी घर का दरवाज़ा खुला रखता हूँ मैं

आज-कल ख़ुद से भी है रंजिश का कोई सिलसिला
आज-कल ख़ुद से भी थोड़ा फ़ासला रखता हूँ मैं

चंद यादें एक चेहरा एक ख़्वाहिश एक ख़्वाब
अपने दिल में और क्या उन के सिवा रखता हूँ मैं

चंद तस्वीरें किताबें ख़ुशबुएँ और एक फूल
अपनी अलमारी में 'ताबिश' और क्या रखता हूँ मैं

  - Tousief Tabish

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tousief Tabish

As you were reading Shayari by Tousief Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Tousief Tabish

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari