be-qaraari si be-qaraari hai
ab yahi zindagi hamaari hai
main ne us ko pichaadna hai miyaan
meri saaye se jang jaari hai
ishq karna bhi laazmi hai magar
mujh pe ghar ki bhi zimmedaari hai
pyaar hai mujh ko zindagi se bahut
aur tu zindagi se pyaari hai
main kabhi khud ko chhodta hi nahin
meri khud se alag si yaari hai
shehar ka shehar so gaya taabish
ab mere jaagne ki baari hai
बे-क़रारी सी बे-क़रारी है
अब यही ज़िंदगी हमारी है
मैं ने उस को पिछाड़ना है मियाँ
मेरी साए से जंग जारी है
इश्क़ करना भी लाज़मी है मगर
मुझ पे घर की भी ज़िम्मेदारी है
प्यार है मुझ को ज़िंदगी से बहुत
और तू ज़िंदगी से प्यारी है
मैं कभी ख़ुद को छोड़ता ही नहीं
मेरी ख़ुद से अलग सी यारी है
शहर का शहर सो गया 'ताबिश'
अब मिरे जागने की बारी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tousief Tabish
our suggestion based on Tousief Tabish
As you were reading Ghar Shayari Shayari