doston ka kuchh asar nahin aata
dil jalana agar nahin aata
jis zamaane ne hamko thukraaya
vo zamaana nazar nahin aata
koi mandir mila koi masjid
kyun khuda apne ghar nahin aata
aah karta hoon waah milti hai
rona mujh ko magar nahin aata
jiski jaanib kiya hai dil apna
usko kuchh bhi magar nahin aata
roz toyaesh sochte hain ham
phool har shaakh par nahin aata
दोस्तों का कुछ असर नहीं आता
दिल जलाना अगर नहीं आता
जिस ज़माने ने हमको ठुकराया
वो ज़माना नज़र नहीं आता
कोई मंदिर मिला कोई मस्जिद
क्यों ख़ुदा अपने घर नहीं आता
आह करता हूँ वाह मिलती है
रोना मुझ को मगर नहीं आता
जिसकी जानिब किया है दिल अपना
उसको कुछ भी मगर नहीं आता
रोज़ तोयेश सोचते हैं हम
फूल हर शाख़ पर नहीं आता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Toyesh prakash
our suggestion based on Toyesh prakash
As you were reading Aah Shayari Shayari