dil ki jo aag thi kam us ko bhi hone na diya | दिल की जो आग थी कम उस को भी होने न दिया

  - Uma Shankar Chitravanshi Bazal

dil ki jo aag thi kam us ko bhi hone na diya
ham to rote the magar aap ne rone na diya

sham'a kyun parda-e-faanuus mein chhup jaati hai
us ne parwaane ko qurbaan bhi hone na diya

yaad-dilbar mein kabhi ai dil-e-muztar tu ne
ham ko chup-chaap kahi baith ke rone na diya

aashiyaan ka to koi zikr hai kya ai sayyaad
jama tinkon ko kabhi barq ne hone na diya

aasteen aankhon par us shokh ne rakh di baazl
ro raha tha mujhe kis vaaste rone na diya

दिल की जो आग थी कम उस को भी होने न दिया
हम तो रोते थे मगर आप ने रोने न दिया

शम्अ क्यूँ पर्दा-ए-फ़ानूस में छुप जाती है
उस ने परवाने को क़ुर्बान भी होने न दिया

याद-दिलबर में कभी ऐ दिल-ए-मुज़्तर तू ने
हम को चुप-चाप कहीं बैठ के रोने न दिया

आशियाँ का तो कोई ज़िक्र है क्या ऐ सय्याद
जमा तिनकों को कभी बर्क़ ने होने न दिया

आस्तीं आँखों पर उस शोख़ ने रख दी 'बाज़ल'
रो रहा था मुझे किस वास्ते रोने न दिया

  - Uma Shankar Chitravanshi Bazal

Bijli Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Uma Shankar Chitravanshi Bazal

Similar Moods

As you were reading Bijli Shayari Shayari