ye duniya kis chakkar mein kho jaati hai
hone waali baat to bas ho jaati hai
tere haq mein main tanhaa rah jaata hoon
saari duniya ek taraf ho jaati hai
us ki yaad ke jugnoo jaagte rahte hain
meri aankh to pal bhar mein so jaati hai
khud hi tamasha banta hoon khud ka farhat
ye khaamoshi kya dil mein bo jaati hai
ये दुनिया किस चक्कर में खो जाती है
होने वाली बात तो बस हो जाती है
तेरे हक़ में मैं तन्हा रह जाता हूँ
सारी दुनिया एक तरफ़ हो जाती है
उस की याद के जुगनू जागते रहते हैं
मेरी आँख तो पल भर में सो जाती है
ख़ुद ही तमाशा बनता हूँ ख़ुद का 'फ़रहत'
ये ख़ामोशी क्या दिल में बो जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umar Farhat
our suggestion based on Umar Farhat
As you were reading Nigaah Shayari Shayari