dhoop naayaab hui jaati hai | धूप नायाब हुई जाती है

  - Umar Farhat

dhoop naayaab hui jaati hai
chaanv be-taab hui jaati hai

paani dariya mein nahin hai lekin
basti gharqaab hui jaati hai

gir gai os badan par kaisi
rooh sairaab hui jaati hai

main kisi raat ka sannaata hoon
vo koi khwaab hui jaati hai

barf kya door giri hai farhat
naddi paayaab hui jaati hai

धूप नायाब हुई जाती है
छाँव बे-ताब हुई जाती है

पानी दरिया में नहीं है लेकिन
बस्ती ग़र्क़ाब हुई जाती है

गिर गई ओस बदन पर कैसी
रूह सैराब हुई जाती है

मैं किसी रात का सन्नाटा हूँ
वो कोई ख़्वाब हुई जाती है

बर्फ़ क्या दूर गिरी है 'फ़रहत'
नद्दी पायाब हुई जाती है

  - Umar Farhat

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umar Farhat

As you were reading Shayari by Umar Farhat

Similar Writers

our suggestion based on Umar Farhat

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari