zahar mein bujhti hui bel hai deewaar ke saath | ज़हर में बुझती हुई बेल है दीवार के साथ

  - Ummeed KHwaja

zahar mein bujhti hui bel hai deewaar ke saath
jaise ik naaika baithi ho gunahgaar ke saath

mujh se milna hai to ye qaid nahin mujh ko pasand
har mulaqaat muqayyad rahe itwaar. ke saath

ek hi vaar mein marne se kahi behtar hai
ek ik sar vo jo katata rahe talwaar ke saath

main ne har-gaam pe un logon ko marte dekha
vo jo jeete rahe is daur mein kirdaar ke saath

ye jahaan muflis-o-naadaar ka hamdard ho kyun
jis ke har kone pe tahreer hai zardaar ke saath

koi sha'ir mere marne ki khabar laaya hai
ek sah-kaalmi surkhi liye akhbaar ke saath

jashn‌‌‌-e-khoon-naab hai maqtal mein mughanni se kaho
koi ik raag naya geet ho malhaar ke saath

main bhi is shehr-e-khamaoshaan ka hi saakin hoon umeed
jis ki har lauh pe tahreer hai aazaar ke saath

ज़हर में बुझती हुई बेल है दीवार के साथ
जैसे इक नाइका बैठी हो गुनहगार के साथ

मुझ से मिलना है तो ये क़ैद नहीं मुझ को पसंद
हर मुलाक़ात मुक़य्यद रहे इतवार के साथ

एक ही वार में मरने से कहीं बेहतर है
एक इक सर वो जो कटता रहे तलवार के साथ

मैं ने हर-गाम पे उन लोगों को मरते देखा
वो जो जीते रहे इस दौर में किरदार के साथ

ये जहाँ मुफ़लिस-ओ-नादार का हमदर्द हो क्यूँ
जिस के हर कोने पे तहरीर है ज़रदार के साथ

कोई शाइ'र मिरे मरने की ख़बर लाया है
एक सह-कालमी सुर्ख़ी लिए अख़बार के साथ

जश्न‌‌‌‌-ए-ख़ूँ-नाब है मक़्तल में मुग़न्नी से कहो
कोई इक राग नया गीत हो मल्हार के साथ

मैं भी इस शहर-ए-ख़मोशाँ का ही साकिन हूँ 'उमीद'
जिस की हर लौह पे तहरीर है आज़ार के साथ

  - Ummeed KHwaja

Breakup Motivation Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ummeed KHwaja

As you were reading Shayari by Ummeed KHwaja

Similar Writers

our suggestion based on Ummeed KHwaja

Similar Moods

As you were reading Breakup Motivation Shayari Shayari