roothna chaaho to ab hargiz manaane ka nahin
dil ko maail kar liya aansu bahaane ka nahin
raaste dhundla gaye hain raushni waalo suno
wa'da jalne ka kiya tha timtimaane ka nahin
kashtiyaan manjhdhaar mein hain nakhuda naaraz hain
aasmaanon se kaho bijli girane ka nahin
kab dhalegi shaam-e-gham kab khatm hoga zulm-o-jabr
zindagi insaan ki hai unwaan fasaane ka nahin
lo chale jaate hain khaali haath duniya se umeed
yaad kar lena azeezo bhool jaane ka nahin
रूठना चाहो तो अब हरगिज़ मनाने का नहीं
दिल को माइल कर लिया आँसू बहाने का नहीं
रास्ते धुँदला गए हैं रौशनी वालो सुनो
वा'दा जलने का किया था टिमटिमाने का नहीं
कश्तियाँ मंजधार में हैं नाख़ुदा नाराज़ हैं
आसमानों से कहो बिजली गिराने का नहीं
कब ढलेगी शाम-ए-ग़म कब ख़त्म होगा ज़ुल्म-ओ-जब्र
ज़िंदगी इंसाँ की है उनवाँ फ़साने का नहीं
लो चले जाते हैं ख़ाली हाथ दुनिया से 'उमीद'
याद कर लेना अज़ीज़ो भूल जाने का नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ummeed KHwaja
our suggestion based on Ummeed KHwaja
As you were reading Aadmi Shayari Shayari