ashk par gudaaz-dil haashiya chadhata hai
ik zara se qisse ko dastaan banata hai
haan vo kaafir-e-nemat kor-zauq hai yaaro
jo gham-e-mohabbat ko haadisa bataata hai
jeete-ji ka rishta hai rooh-o-jism ka rishta
dhoop ke ta'aqub mein saaya maat khaata hai
jab zabaan-bandi ho nazrein kaam karti hain
ik payaam aata hai ik payaam jaata hai
pattharon ke seene mein aaine bhi heere bhi
zulmato_n ka khaaliq hi mehr-o-mah ugaata hai
kyun javaar-e-manzil mein sust-gaam hain raahi
qurb ka yaqeen shaayad fasla badhaata hai
ai urooj ye duniya qadr-e-dard kya jaane
kyun zamaana-saazo ko haal-e-dil sunaata hai
अश्क पर गुदाज़-दिल हाशिया चढ़ाता है
इक ज़रा से क़िस्से को दास्ताँ बनाता है
हाँ वो काफ़िर-ए-नेमत कोर-ज़ौक़ है यारो
जो ग़म-ए-मोहब्बत को हादिसा बताता है
जीते-जी का रिश्ता है रूह-ओ-जिस्म का रिश्ता
धूप के तआ'क़ुब में साया मात खाता है
जब ज़बान-बंदी हो नज़रें काम करती हैं
इक पयाम आता है इक पयाम जाता है
पत्थरों के सीने में आइने भी हीरे भी
ज़ुल्मतों का ख़ालिक़ ही मेहर-ओ-मह उगाता है
क्यूँ जवार-ए-मंज़िल में सुस्त-गाम हैं राही
क़ुर्ब का यक़ीं शायद फ़ासला बढ़ाता है
ऐ 'उरूज' ये दुनिया क़द्र-ए-दर्द क्या जाने
क्यूँ ज़माना-साज़ों को हाल-ए-दिल सुनाता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Zaidi Badayuni
our suggestion based on Urooj Zaidi Badayuni
As you were reading Nazar Shayari Shayari