mujh ko majboor-e-sar-kashi kahiye
aap andhere ko raushni kahiye
un se bachda to is azaab mein hoon
maut kahiye ki zindagi kahiye
sar-e-saahil bhi log pyaase hain
is ko aashob-e-tishnagi kahiye
kyun tajaahul ko aarifana kahoon
mere chehre ko ajnabi kahiye
chaar din ki hai chaandni lekin
chaandni hai to chaandni kahiye
maut bhi zindagi ka ik rukh hai
is ko meaar-e-aagahi kahiye
gham se ham be-maza nahin hote
lazzat-e-gham ko chaashni kahiye
mujh ko bakshi hai fikr-e-arz-o-sama
dost ki banda-parvari kahiye
jalta-bujhta ye kirmak-e-shab-taab
us ko pur-kaar-e-saadgi kahiye
mujh ko mud mud ke dekhne waale
kya ise tarz-e-be-rukhi kahiye
dhoop mein saath saath saaya hai
raushni mein bhi teergi kahiye
rahbari bhi hai ham-rakaab-e-urooj
us ko faizaan-e-khud-ravi kahiye
मुझ को मजबूर-ए-सर-कशी कहिए
आप अँधेरे को रौशनी कहिए
उन से बछड़ा तो इस अज़ाब में हूँ
मौत कहिए कि ज़िंदगी कहिए
सर-ए-साहिल भी लोग प्यासे हैं
इस को आशोब-ए-तिश्नगी कहिए
क्यूँ तजाहुल को आरिफ़ाना कहूँ
मेरे चेहरे को अजनबी कहिए
चार दिन की है चाँदनी लेकिन
चाँदनी है तो चाँदनी कहिए
मौत भी ज़िंदगी का इक रुख़ है
इस को मेआ'र-ए-आगही कहिए
ग़म से हम बे-मज़ा नहीं होते
लज़्ज़त-ए-ग़म को चाशनी कहिए
मुझ को बख़्शी है फ़िक्र-ए-अर्ज़-ओ-समा
दोस्त की बंदा-परवरी कहिए
जलता-बुझता ये किर्मक-ए-शब-ताब
उस को पुर-कार-ए-सादगी कहिए
मुझ को मुड़ मुड़ के देखने वाले
क्या इसे तर्ज़-ए-बे-रुख़ी कहिए
धूप में साथ साथ साया है
रौशनी में भी तीरगी कहिए
रहबरी भी है हम-रकाब-ए-उरूज
उस को फ़ैज़ान-ए-ख़ुद-रवी कहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Zaidi Badayuni
our suggestion based on Urooj Zaidi Badayuni
As you were reading Life Shayari Shayari