fikr-e-besh-o-kam nahin un ki raza ke saamne | फ़िक्र-ए-बेश-ओ-कम नहीं उन की रज़ा के सामने

  - Urooj Zaidi Badayuni

fikr-e-besh-o-kam nahin un ki raza ke saamne
ye mujhe tasleem hai arz-o-sama ke saamne

jo talab-na-aashna ho maa-siwaa ke saamne
haath failaati hai duniya us gada ke saamne

ye kamaal-e-jazb-e-dil meri nazar se door tha
aap khud aa jaayenge parda utha ke saamne

sochna padta hai kyun bebas hoon kyun majboor hoon
main sar-e-aaghaaz-o-fikr-e-intihaa ke saamne

vo to kahiye mera dil aamaaj-gaah-e-shauq hai
warna kaun aata hai tere be-khata ke saamne

kya bataaun meri gharkaabi mein kis ka haath tha
nakhuda ko pesh hona hai khuda ke saamne

toot jaayega tilism-e-raasti-o-rahbari
main agar aaina rakh doon rehnuma ke saamne

ai zameer-e-zinda mere har-qadam par ehtisaab
naama-e-aamaal jaayega khuda ke saamne

aandhiyaan un ko bujha den aandhiyon ki kya majaal
main ne vo shamaein jalai hain hawa ke saamne

shiddat-e-ehsaas-e-tauba ka vo aalam hai urooj
jaam mere saamne hai main khuda ke saamne

फ़िक्र-ए-बेश-ओ-कम नहीं उन की रज़ा के सामने
ये मुझे तस्लीम है अर्ज़-ओ-समा के सामने

जो तलब-ना-आश्ना हो मा-सिवा के सामने
हाथ फैलाती है दुनिया उस गदा के सामने

ये कमाल-ए-जज़्ब-ए-दिल मेरी नज़र से दूर था
आप ख़ुद आ जाएँगे पर्दा उठा के सामने

सोचना पड़ता है क्यूँ बेबस हूँ क्यूँ मजबूर हूँ
मैं सर-ए-आग़ाज़-ओ-फ़िक्र-ए-इंतिहा के सामने

वो तो कहिए मेरा दिल आमाज-गाह-ए-शौक़ है
वर्ना कौन आता है तेरे बे-ख़ता के सामने

क्या बताऊँ मेरी ग़र्क़ाबी में किस का हाथ था
नाख़ुदा को पेश होना है ख़ुदा के सामने

टूट जाएगा तिलिस्म-ए-रास्ती-ओ-रहबरी
मैं अगर आईना रख दूँ रहनुमा के सामने

ऐ ज़मीर-ए-ज़िंदा मेरे हर-क़दम पर एहतिसाब
नामा-ए-आमाल जाएगा ख़ुदा के सामने

आँधियाँ उन को बुझा दें आँधियों की क्या मजाल
मैं ने वो शमएँ जलाई हैं हवा के सामने

शिद्दत-ए-एहसास-ए-तौबा का वो आलम है 'उरूज'
जाम मेरे सामने है मैं ख़ुदा के सामने

  - Urooj Zaidi Badayuni

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urooj Zaidi Badayuni

As you were reading Shayari by Urooj Zaidi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Urooj Zaidi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari