talkhi-e-gham mere ehsaas ka sarmaaya hai | तल्ख़ी-ए-ग़म मिरे एहसास का सरमाया है

  - Urooj Zaidi Badayuni

talkhi-e-gham mere ehsaas ka sarmaaya hai
husn se main ne ye inaam-e-wafa paaya hai

jab kabhi ishrat-e-rafta ka khayal aaya hai
main nay paharon dil-e-be-taab ko samjhaaya hai

haaye ye be-khudi ishq ko ma'aloom nahin
kaun aaya hai kab aaya hai kahaan aaya hai

dil ko seemaab sifat kah ke guzarne waale
khud pe tadpa hai ki tu ne use tadpaaya hai

kaafir-e-ishq na samjhoon to use kya samjhoon
mere ikhlaas ko ik dost ne thukraaya hai

apni is haar ko main jeet na kyun kar samjhoon
khud ko khoya hai to ai dost tujhe paaya hai

tum mere haal-e-pareshaan pe na tanqeed karo
tum ne daaman kabhi kaanton mein bhi uljhaaya hai

manzil-e-dil bhi wahi koo-e-malaamat bhi wahi
ishq ka jazba-e-be-taab kahaan laaya hai

aankh jhapkegi to sheeraza bikhar jaayega
kis ki awaaz thi jis ne mujhe chaunkaaya hai

jis ko kahte hain ghazal us ki badaulat hi urooj
rukh-e-urdu pe ye rang aur nikhaar aaya hai

तल्ख़ी-ए-ग़म मिरे एहसास का सरमाया है
हुस्न से मैं ने ये इनआम-ए-वफ़ा पाया है

जब कभी इशरत-ए-रफ़्ता का ख़याल आया है
मैं नय पहरों दिल-ए-बे-ताब को समझाया है

हाए ये बे-ख़ुदी इश्क़ को मा'लूम नहीं
कौन आया है कब आया है कहाँ आया है

दिल को सीमाब सिफ़त कह के गुज़रने वाले
ख़ुद पे तड़पा है कि तू ने उसे तड़पाया है

काफ़िर-ए-इश्क़ न समझूँ तो उसे क्या समझूँ
मेरे इख़्लास को इक दोस्त ने ठुकराया है

अपनी इस हार को मैं जीत न क्यूँ कर समझूँ
ख़ुद को खोया है तो ऐ दोस्त तुझे पाया है

तुम मिरे हाल-ए-परेशाँ पे न तन्क़ीद करो
तुम ने दामन कभी काँटों में भी उलझाया है

मंज़िल-ए-दिल भी वही कू-ए-मलामत भी वही
इश्क़ का जज़्बा-ए-बे-ताब कहाँ लाया है

आँख झपकेगी तो शीराज़ा बिखर जाएगा
किस की आवाज़ थी जिस ने मुझे चौंकाया है

जिस को कहते हैं ग़ज़ल उस की बदौलत ही 'उरूज'
रुख़-ए-उर्दू पे ये रंग और निखार आया है

  - Urooj Zaidi Badayuni

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urooj Zaidi Badayuni

As you were reading Shayari by Urooj Zaidi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Urooj Zaidi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari