ishq ke haathon mein parcham ke siva kuchh bhi nahin | इश्क़ के हाथों में परचम के सिवा कुछ भी नहीं

  - Urooj Zaidi Badayuni

ishq ke haathon mein parcham ke siva kuchh bhi nahin
us ka aalam tere aalam ke siva kuchh bhi nahin

be-yaqeeni soo-e-zan eemaan-e-naaqis ki daleel
fikr-e-rahat khatra-e-gham ke siva kuchh bhi nahin

ham se poocho ham bataayein ghaayat-e-kaun-o-makaan
kaargaah-e-ibn-e-aadam ke siva kuchh bhi nahin

aatish-e-nafrat se ab duniya hai aise mod par
deeda-war go ye jahannam ke siva kuchh bhi nahin

yaad-e-ayyaame ki ye bhi jaan-e-razm-o-bazm the
jin ke paas ab chashm-e-pur-nam ke siva kuchh bhi nahin

ham nahin minjumla ahl-e-raza kyun kar kahein
jin ke lab par qissa-e-gham ke siva kuchh bhi nahin

ahl-e-duniya ke liye jo abr-e-naisaan tha urooj
ab vo insaan ashk-e-shabnam ke siva kuchh bhi nahin

इश्क़ के हाथों में परचम के सिवा कुछ भी नहीं
उस का आलम तेरे आलम के सिवा कुछ भी नहीं

बे-यक़ीनी सू-ए-ज़न ईमान-ए-नाक़िस की दलील
फ़िक्र-ए-राहत खतरा-ए-ग़म के सिवा कुछ भी नहीं

हम से पूछो हम बताएँ ग़ायत-ए-कौन-ओ-मकाँ
कारगाह-ए-इब्न-ए-आदम के सिवा कुछ भी नहीं

आतिश-ए-नफ़रत से अब दुनिया है ऐसे मोड़ पर
दीदा-वर गो ये जहन्नम के सिवा कुछ भी नहीं

याद-ए-अय्यामे कि ये भी जान-ए-रज़्म-ओ-बज़्म थे
जिन के पास अब चश्म-ए-पुर-नम के सिवा कुछ भी नहीं

हम नहीं मिनजुमला अहल-ए-रज़ा क्यूँ कर कहें
जिन के लब पर क़िस्सा-ए-ग़म के सिवा कुछ भी नहीं

अहल-ए-दुनिया के लिए जो अब्र-ए-नैसाँ था 'उरूज'
अब वो इंसाँ अश्क-ए-शबनम के सिवा कुछ भी नहीं

  - Urooj Zaidi Badayuni

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urooj Zaidi Badayuni

As you were reading Shayari by Urooj Zaidi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Urooj Zaidi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari