har qadam par mujhe laghzish ka gumaan hota hai
chashm-e-saaqi ki nawaazish ka gumaan hota hai
ye hijaabat-e-taayyoon mujhe manzoor nahin
fikr-e-aazaad ko bandish ka gumaan hota hai
lutaf-e-paiham. na sahi zor-e-musalsal hi sahi
har tavajjoh pe nawaazish ka gumaan hota hai
un ke aage lab-e-izhaar pe hai mohr-e-sukoot
ek khaamosh parastish ka gumaan hota hai
main qafas mein hoon qafas pesh-e-nigaah-e-sayyaad
par-e-parvaaz mein jumbish ka gumaan hota hai
sirf tum dil ki tabaahi ka sabab kya hote
bakht-e-na-saaz ki saazish ka gumaan hota hai
baat ye kya hai urooj in ki har ik baat mein aaj
apni har tarz-e-guzarish ka gumaan hota hai
हर क़दम पर मुझे लग़्ज़िश का गुमाँ होता है
चश्म-ए-साक़ी की नवाज़िश का गुमाँ होता है
ये हिजाबात-ए-तअय्युन मुझे मंज़ूर नहीं
फ़िक्र-ए-आज़ाद को बंदिश का गुमाँ होता है
लुत्फ़-ए-पैहम न सही जौर-ए-मुसलसल ही सही
हर तवज्जोह पे नवाज़िश का गुमाँ होता है
उन के आगे लब-ए-इज़हार पे है मोहर-ए-सुकूत
एक ख़ामोश परस्तिश का गुमाँ होता है
मैं क़फ़स में हूँ क़फ़स पेश-ए-निगाह-ए-सय्याद
पर-ए-पर्वाज़ में जुम्बिश का गुमाँ होता है
सिर्फ़ तुम दिल की तबाही का सबब क्या होते
बख़्त-ए-ना-साज़ की साज़िश का गुमाँ होता है
बात ये क्या है 'उरूज' इन की हर इक बात में आज
अपनी हर तर्ज़-ए-गुज़ारिश का गुमाँ होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Zaidi Badayuni
our suggestion based on Urooj Zaidi Badayuni
As you were reading Qaid Shayari Shayari