khwaab ka aks kahaan khwaab ki ta'beer mein hai
mujh ko ma'aloom hai jo kuchh meri taqdeer mein hai
meri rudaad-e-mohabbat ko na sunne waale
tujh mein vo baat kahaan jo tiri tasveer mein hai
paikar-e-khaak bhi hoon bais-e-kaunain bhi hoon
kitna eijaaz numayaan meri tafseer mein hai
phool ban kar bhi ye ehsaas shagoofe ko nahin
meri takhreeb ka pahluu meri ta'aamir mein hai
husn ke saath tujhe husn-e-wafa bhi milta
isee halke ki zaroorat tiri zanjeer mein hai
wusa't-e-daaman-e-rahmat ki qasam khaata hoon
uzr-e-taqseer bhi daakhil-e-had-e-taqseer mein hai
ek tahdaar ye misra hai jawaab-e-khat mein
kis qadar shokh-bayaani tiri tahreer mein hai
kya tamasha hai ye ai paa-e-junoon-e-ruswaa
kabhi zanjeer se baahar kabhi zanjeer mein hai
jaane kab us pe ujaale ko taras aayega
vo siyah-posh fazaa jo meri taqdeer mein hai
guftugoo hoti hai akshar shab-e-tanhaai mein
ek khaamosh takallum tiri tasveer mein hai
meri nazaron mein yahi husn-e-tagazzul hai urooj
sher-goi ka maza pairavi-e-'meer mein hai
ख़्वाब का अक्स कहाँ ख़्वाब की ता'बीर में है
मुझ को मा'लूम है जो कुछ मिरी तक़दीर में है
मेरी रूदाद-ए-मोहब्बत को न सुनने वाले
तुझ में वो बात कहाँ जो तिरी तस्वीर में है
पैकर-ए-ख़ाक भी हूँ बाइ'स-ए-कौनैन भी हूँ
कितना ईजाज़ नुमायाँ मिरी तफ़्सीर में है
फूल बन कर भी ये एहसास शगूफ़े को नहीं
मेरी तख़रीब का पहलू मिरी ता'मीर में है
हुस्न के साथ तुझे हुस्न-ए-वफ़ा भी मिलता
इसी हल्क़े की ज़रूरत तिरी ज़ंजीर में है
वुसअ'त-ए-दामन-ए-रहमत की क़सम खाता हूँ
उज़्र-ए-तक़्सीर भी दाख़िल-ए-हद-ए-तक़्सीर में है
एक तहदार ये मिस्रा है जवाब-ए-ख़त में
किस क़दर शोख़-बयानी तिरी तहरीर में है
क्या तमाशा है ये ऐ पा-ए-जुनून-ए-रुस्वा
कभी ज़ंजीर से बाहर कभी ज़ंजीर में है
जाने कब उस पे उजाले को तरस आएगा
वो सियह-पोश फ़ज़ा जो मिरी तक़दीर में है
गुफ़्तुगू होती है अक्सर शब-ए-तन्हाई में
एक ख़ामोश तकल्लुम तिरी तस्वीर में है
मेरी नज़रों में यही हुस्न-ए-तग़ज़्ज़ुल है 'उरूज'
शेर-गोई का मज़ा पैरवी-ए-'मीर' में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Zaidi Badayuni
our suggestion based on Urooj Zaidi Badayuni
As you were reading Tasweer Shayari Shayari