kaash us but ko bhi ham waqf-e-tamanna dekhen | काश उस बुत को भी हम वक़्फ़-ए-तमन्ना देखें

  - Urooj Zaidi Badayuni

kaash us but ko bhi ham waqf-e-tamanna dekhen
barf ki sil se nikalta hua shola dekhen

jin ko manzil-talbi mein ho talaash-e-rahbar
rahnumaai ko mere naqsh-e-kaf-e-paa dekhen

paanv ki raundi hui khaak hai apne sar par
ham ne chaaha tha ki aalam tah-o-baala dekhen

narm aur garm-nigaahi pe nahin apni nazar
tere hote tira andaaz-e-nazar kya dekhen

apna gham bhi gham-e-duniya ke barabar hai urooj
apna gham bhool saken to gham-e-duniya dekhen

काश उस बुत को भी हम वक़्फ़-ए-तमन्ना देखें
बर्फ़ की सिल से निकलता हुआ शो'ला देखें

जिन को मंज़िल-तलबी में हो तलाश-ए-रहबर
रहनुमाई को मिरे नक़्श-ए-कफ़-ए-पा देखें

पाँव की रौंदी हुई ख़ाक है अपने सर पर
हम ने चाहा था कि आलम तह-ओ-बाला देखें

नर्म और गर्म-निगाही पे नहीं अपनी नज़र
तेरे होते तिरा अंदाज़-ए-नज़र क्या देखें

अपना ग़म भी ग़म-ए-दुनिया के बराबर है 'उरूज'
अपना ग़म भूल सकें तो ग़म-ए-दुनिया देखें

  - Urooj Zaidi Badayuni

Nazakat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urooj Zaidi Badayuni

As you were reading Shayari by Urooj Zaidi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Urooj Zaidi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Nazakat Shayari Shayari