ho tira ishq meri zaat ka mehwar jaise
usi ehsaas ki main ho gai khugar jaise
ek veeraani tire lehje se aayi mujh tak
phir wahi mere utar aayi ho andar jaise
koi bhi kaam mere haq mein nahin ho paata
rooth kar baith gaya ho ye muqaddar jaise
vo koi waqt tha jab dil tha bada naazuk sa
ab to seene mein rakha hai koi patthar jaise
ho tira haal mere ishq mein waisa zehra
hai mera haal tire hijr mein abtar jaise
हो तिरा इश्क़ मिरी ज़ात का मेहवर जैसे
उसी एहसास की मैं हो गई ख़ूगर जैसे
एक वीरानी तिरे लहजे से आई मुझ तक
फिर वही मेरे उतर आई हो अंदर जैसे
कोई भी काम मेरे हक़ में नहीं हो पाता
रूठ कर बैठ गया हो ये मुक़द्दर जैसे
वो कोई वक़्त था जब दिल था बड़ा नाज़ुक सा
अब तो सीने में रखा है कोई पत्थर जैसे
हो तिरा हाल मेरे इश्क़ में वैसा 'ज़ेहरा'
है मिरा हाल तिरे हिज्र में अबतर जैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Zehra Zaidi
our suggestion based on Urooj Zehra Zaidi
As you were reading Dil Shayari Shayari