sukoon se raat bitaate the mauj karte the | सुकूँ से रात बिताते थे मौज करते थे

  - Varun Anand

sukoon se raat bitaate the mauj karte the
jab uske khwaab na aate the mauj karte the

fuzool aa gaye sehra se shehar mein ham log
wahan pe khaak udaate the mauj karte the

ghire hue hain zamaane ke ab azaabon se
ye log naachte gaate the mauj karte the

kisi ke rang mein dhalne se ho gaye be-rang
ham apne rang banaate the mauj karte the

ameere shehar ke pakwaan se hue beemaar
namak se rotiyaan khaate the mauj karte the

ham uski bazm mein taakheer se gaye har baar
jo log waqt pe aate the mauj karte the

सुकूँ से रात बिताते थे मौज करते थे
जब उसके ख़्वाब न आते थे मौज करते थे

फ़ुज़ूल आ गए सहरा से शहर में हम लोग
वहाँ पे ख़ाक उड़ाते थे मौज करते थे

घिरे हुए हैं ज़माने के अब अज़ाबों से
ये लोग नाचते गाते थे मौज करते थे

किसी के रंग में ढलने से हो गए बे-रंग
हम अपने रंग बनाते थे मौज करते थे

अमीरे शहर के पकवान से हुए बीमार
नमक से रोटियाँ खाते थे मौज करते थे

हम उसकी बज़्म में ताख़ीर से गए हर बार
जो लोग वक़्त पे आते थे मौज करते थे

  - Varun Anand

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Varun Anand

As you were reading Shayari by Varun Anand

Similar Writers

our suggestion based on Varun Anand

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari