wafa khuloos madad dekhbhaal bhool gaye | वफ़ा, ख़ुलूस, मदद, देखभाल भूल गए

  - Varun Anand

wafa khuloos madad dekhbhaal bhool gaye
ab aise lafzon ka sab istimaal bhool gaye

manana roothna hijr-o-visaal bhool gaye
sabhi mohabbaton ka istimaal bhool gaye

nazar ke saamne vo ba-kamaal kya aaya
ham apne hisse ke saare kamaal bhool gaye

qafas mein lag gaya jee aakhirsh parindon ka
jahaan se aaye the vo daal-waal bhool gaye

futuur phir se chadha hai nayi muhabbat ka
janab pichhli muhabbat ka haal bhool gaye

phir usne soch samajh kar ik aisi chaal chali
ki jisko dekh ke sab apni chaal bhool gaye

diye jalane the par dil jala diye hamne
ham apne fan ka sahi istimaal bhool gaye

वफ़ा, ख़ुलूस, मदद, देखभाल भूल गए
अब ऐसे लफ़्ज़ों का सब इस्तिमाल भूल गए

मनाना रूठना हिज्र-ओ-विसाल भूल गए
सभी मुहब्बतों का इस्तिमाल भूल गए

नज़र के सामने वो बा-कमाल क्या आया
हम अपने हिस्से के सारे कमाल भूल गए

क़फ़स में लग गया जी आख़िरश परिंदों का
जहाँ से आए थे वो डाल-वाल भूल गए

फ़ुतूर फिर से चढ़ा है नई मुहब्बत का
जनाब पिछली मुहब्बत का हाल भूल गए?

फिर उसने सोच समझ कर इक ऐसी चाल चली
कि जिसको देख के सब अपनी चाल भूल गए

दिये जलाने थे पर दिल जला दिए हमने
हम अपने फ़न का सही इस्तिमाल भूल गए

  - Varun Anand

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Varun Anand

As you were reading Shayari by Varun Anand

Similar Writers

our suggestion based on Varun Anand

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari