ghazal ki chaahaton ashaar ki jaageer waale hain
tumhein kis ne kaha hai ham bari taqdeer waale hain
vo jin ko khud se matlab hai siyaasi kaam dekhen vo
hamaare saath aayein jo paraai pair waale hain
vo jin ke paanv the azaad peeche rah gaye hain vo
bahut aage nikal aayein hain jo zanjeer waale hain
hain khoti niyyatein jin ki vo kuchh bhi pa nahin sakte
nishaane kya lagen un ke jo tedhe teer waale hain
tumhaari yaadein patthar baaziyaan karti hain seene mein
hamaare haal bhi ab hoo-b-hoo kashmir waale hain
ग़ज़ल की चाहतों अशआ'र की जागीर वाले हैं
तुम्हें किस ने कहा है हम बरी तक़दीर वाले हैं
वो जिन को ख़ुद से मतलब है सियासी काम देखें वो
हमारे साथ आएँ जो पराई पैर वाले हैं
वो जिन के पाँव थे आज़ाद पीछे रह गए हैं वो
बहुत आगे निकल आएँ हैं जो ज़ंजीर वाले हैं
हैं खोटी निय्यतें जिन की वो कुछ भी पा नहीं सकते
निशाने क्या लगें उन के जो टेढ़े तीर वाले हैं
तुम्हारी यादें पत्थर बाज़ियाँ करती हैं सीने में
हमारे हाल भी अब हू-ब-हू कश्मीर वाले हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Varun Anand
our suggestion based on Varun Anand
As you were reading Qaid Shayari Shayari