ham god mein usko uthaya karte the | हम गोद में उसको उठाया करते थे

  - Vaseem 'Haidar'

ham god mein usko uthaya karte the
rootha hua saajan manaaya karte the

jab der se aane pe gussa hoti thi
ham haar baahon ka banaya karte the

daftar se jab bhi lautte the apne ghar
uske liye gajra hi laaya karte the

ham sochte hain yaar tanhaai mein ye
kiske liye khud ko sajaaya karte the

ik jaan se pyaari suno mahbooba thi
ye jaan us par ham lutaaya karte the

tanhaa hue to yaad aaye beete din
ham raat bhar usko ghumaaya karte the

ik baat mujhko bhi nahin maaloom thi
vo jaadu toona bhi karaya karte the

jab jab tasavvur mein hamaare aati thi
ashkon mein tab tab doob jaaya karte the

हम गोद में उसको उठाया करते थे
रूठा हुआ साजन मनाया करते थे

जब देर से आने पे ग़ुस्सा होती थी
हम हार बाहों का बनाया करते थे

दफ़्तर से जब भी लौटते थे अपने घर
उसके लिए गजरा ही लाया करते थे

हम सोचते हैं यार तन्हाई में ये 
किसके लिए ख़ुद को सजाया करते थे

इक जान से प्यारी सुनो महबूबा थी
ये जान उस पर हम लुटाया करते थे

तन्हा हुए तो याद आए बीते दिन
हम रात भर उसको घुमाया करते थे

इक बात मुझको भी नहीं मालूम थी
वो जादू टोना भी कराया करते थे

जब जब तसव्वुर में हमारे आती थी
अश्कों में तब तब डूब जाया करते थे

  - Vaseem 'Haidar'

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari