aaj ka kaise bhi ye pal jaaye | आज का कैसे भी ये पल जाए

  - Vaseem 'Haidar'

aaj ka kaise bhi ye pal jaaye
mere dil se vo ab nikal jaaye

mujhse vo bichhde aur phir uski
saari kamsin ye umr dhal jaaye

aaj vo mere shehar mein aaya
yaaron usse kaho ki kal jaaye

pyaar shiddat se tum karo jis se
kaash vo ladka phir badal jaaye

ladka tera bane yahan shayar
dekh kar dil tera dahal jaaye

mere haq mein dua karo yaaron
mera paagal ye dil sambhal jaaye

neend aati nahin hai mujhko ab
yaad ka saaya uski tal jaaye

आज का कैसे भी ये पल जाए
मेरे दिल से वो अब निकल जाए

मुझसे वो बिछड़े और फिर उसकी
सारी कमसिन ये उम्र ढल जाए

आज वो मेरे शहर में आया
यारों उससे कहो कि कल जाए

प्यार शिद्दत से तुम करो जिस से
काश वो लड़का फिर बदल जाए

लड़का तेरा बने यहाँ शायर
देख कर दिल तेरा दहल जाए

मेरे हक़ में दुआ करो यारों
मेरा पागल ये दिल सँभल जाए

नींद आती नहीं है मुझको अब
याद का साया उसकी टल जाए

  - Vaseem 'Haidar'

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari