ye lagbhag ghair-mumkin hai khudaaya par nikal jaaye
charagon ke dimaagon se hawa ka dar nikal jaaye
isee dar se safar bhar mein kahi aankhen nahin jhapki
kahi aisa na ho ghalti se tera ghar nikal jaaye
tareeqa ek hi hai bas sukoon paane ka duniya mein
yahan se dil nikal jaaye yahan se sar nikal jaaye
ये लगभग ग़ैर-मुमकिन है ख़ुदाया पर निकल जाए
चरागों के दिमाग़ों से हवा का डर निकल जाए
इसी डर से सफ़र भर में कहीं आँखें नहीं झपकी
कहीं ऐसा न हो ग़लती से तेरा घर निकल जाए
तरीक़ा एक ही है बस सुकूँ पाने का दुनिया में
यहाँ से दिल निकल जाए यहाँ से सर निकल जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vashu Pandey
our suggestion based on Vashu Pandey
As you were reading Safar Shayari Shayari