chehra dhundla sa tha aur sunhare jhumke the | चेहरा धुँदला सा था और सुनहरे झुमके थे

  - Vikram Gaur Vairagi

chehra dhundla sa tha aur sunhare jhumke the
baadal ne kaanon mein chaand ke tukde pahne the

ik dooje ko khone se ham itna darte the
gussa bhi hote to baatein karte rahte the

main to sajde mein tha dekhne waale kahte hain
qaateel ki talwaar se pehle aansu nikle the

चेहरा धुँदला सा था और सुनहरे झुमके थे
बादल ने कानों में चाँद के टुकड़े पहने थे

इक दूजे को खोने से हम इतना डरते थे
ग़ुस्सा भी होते तो बातें करते रहते थे

मैं तो सजदे में था देखने वाले कहते हैं
क़ातिल की तलवार से पहले आँसू निकले थे

  - Vikram Gaur Vairagi

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikram Gaur Vairagi

As you were reading Shayari by Vikram Gaur Vairagi

Similar Writers

our suggestion based on Vikram Gaur Vairagi

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari