jald aayein jinhen seene se lagana hai mujhe
phir badan aur kahi kaam mein laana hai mujhe
ishq paanv se liptata hai to ruk jaata hoon
warna tum ho to tumhein chhod ke jaana hai mujhe
mere haathon ko khuda rakhe tire jism ki khair
mas'ala ye hai tujhe haath lagana hai mujhe
dil ko dhadka sa laga rehta hai vo jaan na le
aur phir jabr to ye hai ki bataana hai mujhe
maang leta hoon tire gham se zara sardaari
ek duniya hai jise dil se uthaana hai mujhe
जल्द आएँ जिन्हें सीने से लगाना है मुझे
फिर बदन और कहीं काम में लाना है मुझे
इश्क़ पाँव से लिपटता है तो रुक जाता हूँ
वर्ना तुम हो तो तुम्हें छोड़ के जाना है मुझे
मेरे हाथों को ख़ुदा रक्खे तिरे जिस्म की ख़ैर
मसअला ये है तुझे हाथ लगाना है मुझे
दिल को धड़का सा लगा रहता है वो जान न ले
और फिर जब्र तो ये है कि बताना है मुझे
माँग लेता हूँ तिरे ग़म से ज़रा सरदारी
एक दुनिया है जिसे दिल से उठाना है मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vipul Kumar
our suggestion based on Vipul Kumar
As you were reading Kamar Shayari Shayari