jism bhi aankh ke paani se haraa rehta tha
sar bhi kya sar tha ki zaanoo pe pada rehta tha
aah-o-fariyaad ke mausam bhi guzarte the magar
aisi basti hi nahin thi ki khuda rehta tha
uske bartaav se samjha ki muqaddar mein hai pyaas
nahar tha aur saraabo se ghira rehta tha
sheesha-e-shaam-e-shikasta mein shafaq foottee thi
raat bhar aks mera khun mein sana rehta tha
aankh par aankh padi rahti thi aur phool pe phool
uske hamraah ajab baagh saja rehta tha
aap hi aap uljh jaati theen baatein apni
ya koi chor kahi dil mein chhupa rehta tha
maine daryaft kiya ek hi shakhs aisa kumar
main na guzroon bhi to raaste mein bichha rehta tha
जिस्म भी आँख के पानी से हरा रहता था
सर भी क्या सर था कि ज़ानू पे पड़ा रहता था
आह-ओ-फ़रियाद के मौसम भी गुज़रते थे मगर
ऐसी बस्ती ही नहीं थी कि ख़ुदा रहता था
उसके बरताव से समझा कि मुक़द्दर में है प्यास
नहर था और सराबों से घिरा रहता था
शीशा-ए-शाम-ए-शिकस्ता में शफ़क़ फूटती थी
रात भर ‘अक्स मेरा ख़ूँ में सना रहता था
आँख पर आँख पड़ी रहती थी और फूल पे फूल
उसके हमराह ‘अजब बाग़ सजा रहता था
आप ही आप उलझ जाती थीं बातें अपनी
या कोई चोर कहीं दिल में छुपा रहता था
मैंने दरयाफ़्त किया एक ही शख़्स ऐसा 'कुमार'
मैं न गुज़रूँ भी तो रस्ते में बिछा रहता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vipul Kumar
our suggestion based on Vipul Kumar
As you were reading Shehar Shayari Shayari