abhi langar nahin daala
tikoni baadbaan ki rassiyaan dheeli nahin keen
abhi mastool apne paanv ke oopar khada hai
safeene ke bhare seene mein
saanson ka zakheera sarsaraata hai
abhi ham naqidaana faasle se
ajnabi saahil ke tevar dekhte hain
khujuroon ke darakhton mein chhupi sargoshiyaan sunne ki khaatir
ham ne apne kaan zinda kar diye hain
pahaadi mein sarkate
teer-andazon ke kaarobaar pe aankhen laga di hain
hamein
tum apne saahil par
paziraai ke kis andaaz ke qaabil samjhte ho
ye tum par hai
agar tum teer chhodoge
to ham ne apni aankhon ke siva
saara badan pighle hue lohe ke paani mein duboya hai
hamaara haath
tarkash ke khule munh par dhara hai
kamaan ki khushk aur akadi zabaan to
muddaton se teer chakhne ke liye bechain hai
tumhein ye ilm hona chahiye
ki ham jab apne teer pe
dushman ki baayein aankh likhte hain
to baayein aankh hoti hai
kabhi abroo nahin hota
ye tum par hai
agar tum ham ko seene se lagaane ke liye
saahil pe aa kar apne baazu khol doge
to ham bhi
farfarate baadbaan ki rassiyon ko khol denge
agar tum teer andaazon ki toli ko pahaadi se utaaroge
to ham bhi
jism se lipta hua loha gira denge
tumhaare har amal ko ham
badi eemaan-daari se bade insaaf se radd-e-amal denge
tumhein ye ilm hona chahiye
ki aankh ke badle mein aankh
aur dil ke badle dil hamaara zaabta hai
tumhaara husn-e-zan hai
soch ke har zaaviye se sochna
ki ham jo paani par khade hain
kis paziraai ke qaabil hain
magar kuchh bhi karo
madd-e-nazar rakhna ki ham madd-e-muqaabil hain
अभी लंगर नहीं डाला
तिकोनी बादबाँ की रस्सियाँ ढीली नहीं कीं
अभी मस्तूल अपने पाँव के ऊपर खड़ा है
सफ़ीने के भरे सीने में
साँसों का ज़ख़ीरा सरसराता है
अभी हम नाक़िदाना फ़ासले से
अजनबी साहिल के तेवर देखते हैं
खुजूरों के दरख़्तों में छुपी सरगोशियाँ सुनने की ख़ातिर
हम ने अपने कान ज़िंदा कर दिए हैं
पहाड़ी में सरकते
तीर-अंदाजों के कारोबार पे आँखें लगा दी हैं
हमें
तुम अपने साहिल पर
पज़ीराई के किस अंदाज़ के क़ाबिल समझते हो
ये तुम पर है
अगर तुम तीर छोड़ोगे
तो हम ने अपनी आँखों के सिवा
सारा बदन पिघले हुए लोहे के पानी में डुबोया है
हमारा हाथ
तरकश के खुले मुँह पर धरा है
कमाँ की ख़ुश्क और अकड़ी ज़बाँ तो
मुद्दतों से तीर चखने के लिए बेचैन है
तुम्हें ये इल्म होना चाहिए
कि हम जब अपने तीर पे
दुश्मन की बाएँ आँख लिखते हैं
तो बाएँ आँख होती है
कभी अबरू नहीं होता
ये तुम पर है
अगर तुम हम को सीने से लगाने के लिए
साहिल पे आ कर अपने बाज़ू खोल दोगे
तो हम भी
फड़फड़ाते बादबाँ की रस्सियों को खोल देंगे
अगर तुम तीर अंदाज़ों की टोली को पहाड़ी से उतारोगे
तो हम भी
जिस्म से लिपटा हुआ लोहा गिरा देंगे
तुम्हारे हर अमल को हम
बड़ी ईमान-दारी से, बड़े इंसाफ़ से रद्द-ए-अमल देंगे
तुम्हें ये इल्म होना चाहिए
कि आँख के बदले में आँख
और दिल के बदले दिल हमारा ज़ाबता है
तुम्हारा हुस्न-ए-ज़न है
सोच के हर ज़ाविए से सोचना
कि हम जो पानी पर खड़े हैं
किस पज़ीराई के क़ाबिल हैं
मगर कुछ भी करो
मद्द-ए-नज़र रखना कि हम मद्द-ए-मुक़ाबिल हैं
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Waheed Ahmad
As you were reading Dushman Shayari Shayari