katara ke gulsitaan se jo soo-e-qafas chale
aisi koi hawa bhi to ab ke baras chale
aadaab-e-qaafila bhi hain zanjeer-e-pa-e-shauq
ye kya safar aseer-e-sada-e-jars chale
maana hawaa-e-gul se the be-ikhtiyaar ham
phir bhi bacha ke raah ka har khaar-o-khas chale
paamaal ho ke rah gaye jashn-e-bahaar mein
ye fikr thi chaman pe khizaan ka na bas chale
ai chashma-e-hayaat na di tu ne boond bhi
ham tishna-kaam abr ki soorat baras chale
subhen bhi aa ke zahar rag-e-jaan mein bhar na den
hijraan-e-yaar tere andhere to das chale
un ki ye zid vo dekhen gada-e-rafoo hamein
ham ko ye fikr un ke garebaan pe bas chale
tha paas-e-aabroo-e-tamanna hamein waheed
chun kar gul-e-muraad sab ahl-e-hawas chale
कतरा के गुल्सिताँ से जो सू-ए-क़फ़स चले
ऐसी कोई हवा भी तो अब के बरस चले
आदाब-ए-क़ाफ़िला भी हैं ज़ंजीर-ए-पा-ए-शौक़
ये क्या सफ़र असीर-ए-सदा-ए-जरस चले
माना हवा-ए-गुल से थे बे-इख़्तियार हम
फिर भी बचा के राह का हर ख़ार-ओ-ख़स चले
पामाल हो के रह गए जश्न-ए-बहार में
ये फ़िक्र थी चमन पे ख़िज़ाँ का न बस चले
ऐ चश्मा-ए-हयात न दी तू ने बूँद भी
हम तिश्ना-काम अब्र की सूरत बरस चले
सुब्हें भी आ के ज़हर रग-ए-जाँ में भर न दें
हिज्रान-ए-यार तेरे अँधेरे तो डस चले
उन की ये ज़िद वो देखें गदा-ए-रफ़ू हमें
हम को ये फ़िक्र उन के गरेबाँ पे बस चले
था पास-ए-आबरू-ए-तमन्ना हमें 'वहीद'
चुन कर गुल-ए-मुराद सब अहल-ए-हवस चले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waheed Akhtar
our suggestion based on Waheed Akhtar
As you were reading Aawargi Shayari Shayari