ye ishaara to kisi parwaanagi se kam nahin | ये इशारा तो किसी परवानगी से कम नहीं

  - Ganesh gorakhpuri

ye ishaara to kisi parwaanagi se kam nahin
roz kuchh kar ke guzarna tishnagi se kam nahin

ek baccha jo adhoora khwaab laaya gaav se
shehar din bhar ghoomna aawaargi se kam nahin

har dafa gardan nahin jhukti kisi talwaar pe
maaf kar dena use ye zindagi se kam nahin

soch lo tum ab juda matlab hamesha ke liye
laut aana har dafa sharmindagi se kam nahin

yaad karne ke tariqe to bahut hi hain magar
ye ibadat bhi kisi saazindagi se kam nahin

ये इशारा तो किसी परवानगी से कम नहीं
रोज़ कुछ कर के गुज़रना तिश्नगी से कम नहीं

एक बच्चा जो अधूरा ख़्वाब लाया गाँव से
शहर दिन भर घूमना आवारगी से कम नहीं

हर दफ़ा गर्दन नहीं झुकती किसी तलवार पे
माफ़ कर देना उसे ये ज़िंदगी से कम नहीं

सोच लो तुम अब जुदा मतलब हमेशा के लिए
लौट आना हर दफ़ा शर्मिंदगी से कम नहीं

याद करने के तरीक़े तो बहुत ही हैं मगर
ये इबादत भी किसी साज़िंदगी से कम नहीं

  - Ganesh gorakhpuri

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ganesh gorakhpuri

As you were reading Shayari by Ganesh gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Ganesh gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari