sambhal kar chal | सँभल कर चल

  - Yameen

sambhal kar chal
bahut gahra andhera hai
tumhein ghaaron mein aisa ghaar kam hi mil sakega
yahan dharti nahin kuchh aasmaan sa hai
darakht is neeli chat ke saath yun chipke hain
jaise ye isee ambar ka hissa hon
kai din se ye sab neele darakht is aasmaan se ug rahe hain
abhi main tum se kya kehne laga tha
sambhal kar
haan mujhe kehna tha
ki us ghaar se niklen to shaayad aasmaan se ham zameen dekhen
magar ham to zameen par the
ye kaise aasmaan par aa gaye hain
khala to is zameen par bhi bahut hai
magar ham aasmaan us ko nahin kahte
zameen to aasmaan par bhi bahut hai
magar ham is ko dharti kaise kah den
chalo us ghaar se ho kar nikalte hain kisi jaanib
sambhal kar
haan sambhal kar chal
yahan par raushni itni ziyaada hai
ki aankhon mein andhera bhar gaya hai

सँभल कर चल
बहुत गहरा अंधेरा है
तुम्हें ग़ारों में ऐसा ग़ार कम ही मिल सकेगा
यहाँ धरती नहीं कुछ आसमाँ सा है
दरख़्त इस नीली छत के साथ यूँ चिपके हैं
जैसे ये इसी अम्बर का हिस्सा हों
कई दिन से ये सब नीले दरख़्त इस आसमाँ से उग रहे हैं
अभी मैं तुम से क्या कहने लगा था
सँभल कर
हाँ मुझे कहना था
कि उस ग़ार से निकलें तो शायद आसमाँ से हम ज़मीं देखें
मगर हम तो ज़मीं पर थे
ये कैसे आसमाँ पर आ गए हैं
ख़ला तो इस ज़मीं पर भी बहुत है
मगर हम आसमाँ उस को नहीं कहते
ज़मीं तो आसमाँ पर भी बहुत है
मगर हम इस को धरती कैसे कह दें
चलो उस ग़ार से हो कर निकलते हैं किसी जानिब
सँभल कर
हाँ सँभल कर चल
यहाँ पर रौशनी इतनी ज़ियादा है
कि आँखों में अंधेरा भर गया है

  - Yameen

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Yameen

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari