ham apni pusht par khuli bahaar le ke chal diye | हम अपनी पुश्त पर खुली बहार ले के चल दिए

  - Yaqoob Yawar

ham apni pusht par khuli bahaar le ke chal diye
safar mein the safar ka e'tibaar le ke chal diye

sadak sadak mahak rahe the gul-badan saje hue
thake badan ik ik gale ka haar le ke chal diye

jibillaton ka khoon khaulne laga zameen par
to ahad-e-irtiqa khala ke paar le ke chal diye

pahaad jaisi azmaton ka daakhila tha shehar mein
ki log aagahi ka ishtehaar le ke chal diye

jaraahaten miliin hamein bhi inkisaar ke evaz
jhuka ke sar sadaaqaton ki haar le ke chal diye

हम अपनी पुश्त पर खुली बहार ले के चल दिए
सफ़र में थे सफ़र का ए'तिबार ले के चल दिए

सड़क सड़क महक रहे थे गुल-बदन सजे हुए
थके बदन इक इक गले का हार ले के चल दिए

जिबिल्लतों का ख़ून खौलने लगा ज़मीन पर
तो अहद-ए-इर्तिक़ा ख़ला के पार ले के चल दिए

पहाड़ जैसी अज़्मतों का दाख़िला था शहर में
कि लोग आगही का इश्तिहार ले के चल दिए

जराहतें मिलीं हमें भी इंकिसार के एवज़
झुका के सर सदाक़तों की हार ले के चल दिए

  - Yaqoob Yawar

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yaqoob Yawar

As you were reading Shayari by Yaqoob Yawar

Similar Writers

our suggestion based on Yaqoob Yawar

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari