shehar-e-sukhan ajeeb ho gaya hai
naaqid yahan adeeb ho gaya hai
jhooth in dinon udaas hai ki sach bhi
parvarda-e-saleeb ho gaya hai
garmi se phir badan pighal rahe hain
shaayad koi qareeb ho gaya hai
aabaadiyon mein doob kar mera dil
jungle se bhi muheeb ho gaya hai
kya kya gile nahin use watan se
yaavar kahaan gareeb ho gaya hai
शहर-ए-सुख़न अजीब हो गया है
नाक़िद यहाँ अदीब हो गया है
झूट इन दिनों उदास है कि सच भी
परवर्दा-ए-सलीब हो गया है
गर्मी से फिर बदन पिघल रहे हैं
शायद कोई क़रीब हो गया है
आबादियों में डूब कर मिरा दिल
जंगल से भी मुहीब हो गया है
क्या क्या गिले नहीं उसे वतन से
'यावर' कहाँ ग़रीब हो गया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yaqoob Yawar
our suggestion based on Yaqoob Yawar
As you were reading Patriotic Shayari Shayari