raushni mere charaagon ki dhari rahna thi | रौशनी मेरे चराग़ों की धरी रहना थी

  - Yaqoob Yawar

raushni mere charaagon ki dhari rahna thi
phir bhi suraj se meri ham-safari rahna thi

mausam-e-deed mein ik sabz-paree ka saaya
ab gila kya ki tabeeyat to hari rahna thi

main ki hoon aadam-e-aazim ki rivaayat ka naqeeb
meri shokhi sabab-e-dar-b-dari rahna thi

khwaab irfaan-e-haqeeqat ke tamannaai the
zindagi aur meri raahbari rahna thi

aaj bhi zakham hi khilte hain sar-e-shaakh-e-nihaal
nakhle-e-khwaahish pe wahi be-samri rahna thi

saaz-o-saamaan-e-ta'ayyush to bahut the yaavar
apne hisse mein yahi harf-gari rahna thi

रौशनी मेरे चराग़ों की धरी रहना थी
फिर भी सूरज से मिरी हम-सफ़री रहना थी

मौसम-ए-दीद में इक सब्ज़-परी का साया
अब गिला क्या कि तबीअत तो हरी रहना थी

मैं कि हूँ आदम-ए-आज़िम की रिवायत का नक़ीब
मेरी शोख़ी सबब-ए-दर-ब-दरी रहना थी

ख़्वाब इरफ़ान-ए-हक़ीक़त के तमन्नाई थे
ज़िंदगी और मिरी राहबरी रहना थी

आज भी ज़ख़्म ही खिलते हैं सर-ए-शाख़-ए-निहाल
नख़्ल-ए-ख़्वाहिश पे वही बे-समरी रहना थी

साज़-ओ-सामान-ए-तअय्युश तो बहुत थे 'यावर'
अपने हिस्से में यही हर्फ़-गरी रहना थी

  - Yaqoob Yawar

Shikwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yaqoob Yawar

As you were reading Shayari by Yaqoob Yawar

Similar Writers

our suggestion based on Yaqoob Yawar

Similar Moods

As you were reading Shikwa Shayari Shayari