sukhun ko be-hisi ki qaid se baahar nikaaloon
tumhaari deed ka koi naya manzar nikaaloon
ye be-masrif si shay har gaam aadhe aane waali
ana ki kenchuli ko jism se baahar nikaaloon
tilismi maarkhe kahte hain ab sar ho chuke hain
zara zambil ke kone se main bhi sar nikaaloon
lahu mahka to saara shehar paagal ho gaya hai
main kis saf se uthoon kis ke liye khanjar nikaaloon
bas ab to munjamid zehnon ki yaavar barf pighle
kahaan tak apni istedaad ke jauhar nikaaloon
सुख़न को बे-हिसी की क़ैद से बाहर निकालूँ
तुम्हारी दीद का कोई नया मंज़र निकालूँ
ये बे-मसरफ़ सी शय हर गाम आड़े आने वाली
अना की केंचुली को जिस्म से बाहर निकालूँ
तिलिस्मी मारके कहते हैं अब सर हो चुके हैं
ज़रा ज़म्बील के कोने से मैं भी सर निकालूँ
लहू महका तो सारा शहर पागल हो गया है
मैं किस सफ़ से उठूँ किस के लिए ख़ंजर निकालूँ
बस अब तो मुंजमिद ज़ेहनों की 'यावर' बर्फ़ पिघले
कहाँ तक अपनी इस्तेदाद के जौहर निकालूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yaqoob Yawar
our suggestion based on Yaqoob Yawar
As you were reading Taareef Shayari Shayari