al-amaan ki suraj hai meri jaan ke peeche | अल-अमाँ कि सूरज है मेरी जान के पीछे

  - Yaqoob Yawar

al-amaan ki suraj hai meri jaan ke peeche
aur saanp baitha hai saayebaan ke peeche

khush-gawaar mausam par kaamyaabiyaan mabni
man-chala samundar hai baadbaan ke peeche

ham se rah-navardon ko dasht raas kya aata
aakhirsh palatna tha khaak chaan ke peeche

cheekh al-madad shaayad dast-e-ghaib aa jaaye
naavilon ke lashkar hain daastaan ke peeche

teer kha ke pahluu mein main adhar tadpata tha
aur meri parchhaaien thi kamaan ke peeche

muzmahil na ho jaaye quwwaton ki tabaani
koi chhup ke baitha hai aasmaan ke peeche

naaqid-o-halaakoo mein rabt-e-khaas hai yaavar
kuchh qalam-numa khanjar hain zabaan ke peeche

अल-अमाँ कि सूरज है मेरी जान के पीछे
और साँप बैठा है साएबान के पीछे

ख़ुश-गवार मौसम पर कामयाबियाँ मब्नी
मन-चला समुंदर है बादबान के पीछे

हम से रह-नवरदों को दश्त रास क्या आता
आख़िरश पलटना था ख़ाक छान के पीछे

चीख़ अल-मदद शायद दस्त-ए-ग़ैब आ जाए
नाविलों के लश्कर हैं दास्तान के पीछे

तीर खा के पहलू में मैं अधर तड़पता था
और मेरी परछाईं थी कमान के पीछे

मुज़्महिल न हो जाए क़ुव्वतों की ताबानी
कोई छुप के बैठा है आसमान के पीछे

नाक़िद-ओ-हलाकू में रब्त-ए-ख़ास है 'यावर'
कुछ क़लम-नुमा ख़ंजर हैं ज़बान के पीछे

  - Yaqoob Yawar

Teer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yaqoob Yawar

As you were reading Shayari by Yaqoob Yawar

Similar Writers

our suggestion based on Yaqoob Yawar

Similar Moods

As you were reading Teer Shayari Shayari