masailon ki bheed mein insaan ko tanhaa kar diya | मसअलों की भीड़ में इंसाँ को तन्हा कर दिया

  - Yaqoob Yawar

masailon ki bheed mein insaan ko tanhaa kar diya
irtiqa ne zindagi ka zakham gahra kar diya

dedh neze par tange suraj ki aankhen noch lo
be-sabab dahshat-zada maahol paida kar diya

fikr ki la-markaziyyat jaagti aankhon mein khwaab
ham-khyaali ne zamaane bhar ko apna kar diya

ik shajar ko jism ki nam sabz-gaahon ki talash
aur is tahreek ne jungle ko soona kar diya

khoon ki surkhi safedi ki tarah mahw-e-safar
kuchh naye rishton ne har rishte ko ganda kar diya

ik kiran tashkeer-e-kul ki samt tha pehla qadam
aag ugalati aandhiyon ne ham ko andha kar diya

मसअलों की भीड़ में इंसाँ को तन्हा कर दिया
इर्तिक़ा ने ज़िंदगी का ज़ख़्म गहरा कर दिया

डेढ़ नेज़े पर टँगे सूरज की आँखें नोच लो
बे-सबब दहशत-ज़दा माहौल पैदा कर दिया

फ़िक्र की ला-मर्कज़ीयत जागती आँखों में ख़्वाब
हम-ख़याली ने ज़माने भर को अपना कर दिया

इक शजर को जिस्म की नम सब्ज़-गाहों की तलाश
और इस तहरीक ने जंगल को सूना कर दिया

ख़ून की सुर्ख़ी सफ़ेदी की तरह महव-ए-सफ़र
कुछ नए रिश्तों ने हर रिश्ते को गंदा कर दिया

इक किरन तस्ख़ीर-ए-कुल की सम्त था पहला क़दम
आग उगलती आँधियों ने हम को अंधा कर दिया

  - Yaqoob Yawar

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yaqoob Yawar

As you were reading Shayari by Yaqoob Yawar

Similar Writers

our suggestion based on Yaqoob Yawar

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari