karam nahin to sitam hi sahi rawa rakhna
ta'alluqaat vo jaise bhi hon sada rakhna
kuchh is tarah ki hidaayat mili hai ab ke mujhe
ki sar pe qahar bhi tooten to dil bada rakhna
na aansuon ki ravaan nahar aankh se karna
ab us ki yaad bhi aaye to hausla rakhna
kise mila hai milega kise muraad ka fal
so ghaaibaana nawaazish ki aas kya rakhna
ajab nahin ki warood-e-habeeb ho jaaye
zamaana tang-nazar hai to dil khula rakhna
jo dosti ke liye be-qaraar rehta hai
vo koi chaal na chal jaaye phir pata rakhna
sitaara arsh se tootega ek farsh ki samt
tum apna ghar dar-o-deewar tak saja rakhna
wafa-shia'ar bhi qudrat tha roothne waala
ravaayatan bhi na naam is ka bewafa rakhna
करम नहीं तो सितम ही सही रवा रखना
तअ'ल्लुक़ात वो जैसे भी हों सदा रखना
कुछ इस तरह की हिदायत मिली है अब के मुझे
कि सर पे क़हर भी टूटें तो दिल बड़ा रखना
न आँसुओं की रवाँ नहर आँख से करना
अब उस की याद भी आए तो हौसला रखना
किसे मिला है मिलेगा किसे मुराद का फल
सो ग़ाएबाना नवाज़िश की आस क्या रखना
अजब नहीं कि वरूद-ए-हबीब हो जाए
ज़माना तंग-नज़र है तो दिल खुला रखना
जो दोस्ती के लिए बे-क़रार रहता है
वो कोई चाल न चल जाए फिर पता रखना
सितारा अर्श से टूटेगा एक फ़र्श की सम्त
तुम अपना घर दर-ओ-दीवार तक सजा रखना
वफ़ा-शिआ'र भी क़ुदरत था रूठने वाला
रवायतन भी न नाम इस का बेवफ़ा रखना
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Yaseen Qudrat
As you were reading Bewafa Shayari Shayari