mohabbat ke zamaane aa gaye hain
use rishte nibhaane aa gaye hain
mere ahbaab mujh ko kar ke tanhaa
dobaara dil dukhaane aa gaye hain
shifaai jaun ghalib meer jaise
hamein bhi gham chhupaane aa gaye hain
tumhein dekha to mujh ko yaad phir se
wahi nagmein purane aa gaye hain
banaaye chaand taare jab se maine
mujhe kangan banaane aa gaye hain
मोहब्बत के ज़माने आ गए हैं
उसे रिश्ते निभाने आ गए हैं
मेरे अहबाब मुझ को कर के तन्हा
दुबारा दिल दुखाने आ गए हैं
शिफ़ाई जौन ग़ालिब मीर जैसे
हमें भी ग़म छुपाने आ गए हैं
तुम्हें देखा तो मुझ को याद फिर से
वही नग़में पुराने आ गए हैं
बनाये चाँद तारे जब से मैंने
मुझे कंगन बनाने आ गए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yashvardhan Mishra
our suggestion based on Yashvardhan Mishra
As you were reading Gham Shayari Shayari