usi hareef ki gharaat-gari ka dar bhi tha
ye dil ka dard magar zaad-e-rahguzar bhi tha
ye jism-o-jaan tiri hi ata sahi lekin
tire jahaan mein jeena mera hunar bhi tha
isee pe shehar ki saari hawaaein barham theen
ki ik diya mere ghar ki munder par bhi tha
mujhe kahi ka na rakha safed-poshi ne
main gard gard utha tha to mo'tabar bhi tha
isee khandar mein mere khwaab ki gali bhi thi
gali mein ped bhi tha ped par samar bhi tha
main surkh-roo tha khudaai ke roo-b-roo yusuf
ki us ki chaah ka ilzaam mere sar bhi tha
उसी हरीफ़ की ग़ारत-गरी का डर भी था
ये दिल का दर्द मगर ज़ाद-ए-रहगुज़र भी था
ये जिस्म-ओ-जान तिरी ही अता सही लेकिन
तिरे जहान में जीना मिरा हुनर भी था
इसी पे शहर की सारी हवाएँ बरहम थीं
कि इक दिया मिरे घर की मुंडेर पर भी था
मुझे कहीं का न रक्खा सफ़ेद-पोशी ने
मैं गर्द गर्द उठा था तो मो'तबर भी था
इसी खंडर में मिरे ख़्वाब की गली भी थी
गली में पेड़ भी था पेड़ पर समर भी था
मैं सुर्ख़-रू था ख़ुदाई के रू-ब-रू 'यूसुफ़'
कि उस की चाह का इल्ज़ाम मेरे सर भी था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yusuf Hasan
our suggestion based on Yusuf Hasan
As you were reading Dar Shayari Shayari