ik be-ant samundar teri manzil ai dariya
phir bhi khaak udaai'n tere saahil ai dariya
kitni umron se main tere saath safar mein hoon
khol apne asraar kabhi tu ai dil ai dariya
seenon aur zameenon ko na agar sairaab karein
tera mera hona hai la-haasil ai dariya
ham bhi parbat kaatte hain aur mitti chaatne hain
ham bhi tere kunbe mein hain shaamil ai dariya
इक बे-अंत समुंदर तेरी मंज़िल ऐ दरिया
फिर भी ख़ाक उड़ाईं तेरे साहिल ऐ दरिया
कितनी उम्रों से मैं तेरे साथ सफ़र में हूँ
खोल अपने असरार कभी तू ऐ दिल ऐ दरिया
सीनों और ज़मीनों को न अगर सैराब करें
तेरा मेरा होना है ला-हासिल ऐ दरिया
हम भी पर्बत काटते हैं और मिट्टी चाटते हैं
हम भी तेरे कुँबे में हैं शामिल ऐ दरिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yusuf Hasan
our suggestion based on Yusuf Hasan
As you were reading Kashmir Shayari Shayari