israail misr jang mein karnal naasir ke naare | इसराईल मिस्र जंग में कर्नल नासिर के नारे

  - Zaheer Siddiqui

israail misr jang mein karnal naasir ke naare
ham bete fir'aun ke se mutassir ho kar

yahi vo kohsaar hain jahaan
musht-e-khaak noor-aashnaa hui thi
yahi vo zarrat-e-reg hain
jo kisi ke betaab waalihana qadam
ki thokar se
kahkashaan kahkashaan hue the
yahi vo pathreeli vaadiyaan hain
ki jin ki aaghosh-e-khushk mein
do dhadakte ma'soom dil mile the
aur aaj har-soo
hai dood-e-baaroos ki rida
jis mein har kiran raushni ki
maadum ho gai hai
ujaad sangeen vaadiyon mein
havas ka ifreet
gosfandaan-e-arz-e-madyan ko
kha gaya hai
na koi bint-e-shuaib hai
aur na raharav-e-tishna hi hai koi
kuein ke paas mein
jauhri zahar ghul gaya hai

tajalli-e-lam-yazal kahaan ki
ye tez sangeenon ki chamak hai
kaleem hi jab nahin hai koi
kalaam kaisa
muheeb topon ki ye dhamak hai
kisi ke ma'soom waalihana qadam ki
ye kahkashaan nahin hai
ye reg-ha-e-zameen hi hain
jo aahani aslahon ki aatish mein tap gaye hain

savaad-e-saahil
asa-b-dast ab nahin hai koi
to mo'jiza kya tilism kaisa
ye sat'h-e-darya-e-neel gul-goo jo ho gai hai
asa ka ej'aaz to nahin
ye rida-e-khoon hai rida-e-khoon hai
ye khoon kis ka hai
ai dil-e-zood-ranj to kyun udaas hai
khair-o-shar ki ye kashmakash nahin hai
ki dono jaanib hi
aasteen-e-hawas mein
firauniyat ke zahreeli azdahe hain
savaad-e-saahil
asa-b-dast ab nahin hai koi

इसराईल मिस्र जंग में कर्नल नासिर के नारे
हम बेटे फ़िरऔन के से मुतअस्सिर हो कर

यही वो कोहसार हैं जहाँ
मुश्त-ए-ख़ाक नूर-आश्ना हुई थी
यही वो ज़र्रात-ए-रेग हैं
जो किसी के बेताब वालिहाना क़दम
की ठोकर से
कहकशाँ कहकशाँ हुए थे
यही वो पथरीली वादियाँ हैं
कि जिन की आग़ोश-ए-ख़ुश्क में
दो धड़कते मा'सूम दिल मिले थे
और आज हर-सू
है दूद-ए-बारूद की रिदा
जिस में हर किरन रौशनी की
मादूम हो गई है
उजाड़ संगीन वादियों में
हवस का इफ़रीत
गोसफ़ंदान-ए-अर्ज़-ए-मदयन को
खा गया है
न कोई बिंत-ए-शुऐब है
और न रहरव-ए-तिश्ना ही है कोई
कुएँ के पास में
जौहरी ज़हर घुल गया है

तजल्ली-ए-लम-यज़ल कहाँ की
ये तेज़ संगीनों की चमक है
कलीम ही जब नहीं है कोई
कलाम कैसा
मुहीब तोपों की ये धमक है
किसी के मा'सूम वालिहाना क़दम की
ये कहकशाँ नहीं है
ये रेग-हा-ए-ज़मीन ही हैं
जो आहनी असलहों की आतिश में तप गए हैं

सवाद-ए-साहिल
असा-ब-दस्त अब नहीं है कोई
तो मो'जिज़ा क्या तिलिस्म कैसा
ये सत्ह-ए-दरया-ए-नील गुल-गू जो हो गई है
असा का ए'जाज़ तो नहीं
ये रिदा-ए-ख़ूँ है रिदा-ए-ख़ूँ है
ये ख़ून किस का है
ऐ दिल-ए-ज़ूद-रंज तो क्यूँ उदास है
ख़ैर-ओ-शर की ये कश्मकश नहीं है
कि दोनों जानिब ही
आस्तीन-ए-हवस में
फ़िरऔनियत के ज़हरीले अज़दहे हैं
सवाद-ए-साहिल
असा-ब-दस्त अब नहीं है कोई

  - Zaheer Siddiqui

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zaheer Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari