aao aa jaao qareeb aao
ki kuchh baat bane
itni doori hai ki awaaz pahunchti hi nahin
main kisi gair zabaan ke alfaaz
apne ashaar mein shaamil to nahin karta hoon
dukh to is baat ka hai tum ye samjhte hi nahin
mere seene mein machalta hai
tumhaara dukh bhi
mere alfaaz mein shaamil hai tumhaari awaaz
mere jazbaat mein khufuta hain
tumhaare jazbaat
main jo ad par hoon to bas ek hi maqsad hai mera
farsh se arsh ka kuchh raabta baaki to rahe
main hoon jis zeene pe
tum us pe nahin aa sakte
aur main neeche bahut neeche nahin ja saka
ye tafaavut to azal hi se hai qaaim
lekin
tum kabhi itne garaan gosh na the
seedhiyaan jitni bhi oopar jaayen
paanv to un ke zameen se hi lage rahte hain
ik zara qurb-e-sama'at ke liye
kitne hi zeene main utara hoon tumhaari khaatir
jhaad kar apne band ki mitti
chand zeene hi sahi
tum bhi to oopar aao
aur neeche na utaaro mere saamei mujh ko
आओ आ जाओ क़रीब आओ
कि कुछ बात बने
इतनी दूरी है कि आवाज़ पहुँचती ही नहीं
मैं किसी ग़ैर ज़बाँ के अल्फ़ाज़
अपने अशआ'र में शामिल तो नहीं करता हूँ
दुख तो इस बात का है तुम ये समझते ही नहीं
मेरे सीने में मचलता है
तुम्हारा दुख भी
मेरे अल्फ़ाज़ में शामिल है तुम्हारी आवाज़
मेरे जज़्बात में ख़ुफ़्ता हैं
तुम्हारे जज़्बात
मैं जो अद पर हूँ तो बस एक ही मक़्सद है मिरा
फ़र्श से अर्श का कुछ राब्ता बाक़ी तो रहे
मैं हूँ जिस ज़ीने पे
तुम उस पे नहीं आ सकते
और मैं नीचे बहुत नीचे नहीं जा सकता
ये तफ़ावुत तो अज़ल ही से है क़ाएम
लेकिन
तुम कभी इतने गराँ गोश न थे
सीढ़ियाँ जितनी भी ऊपर जाएँ
पाँव तो उन के ज़मीं से ही लगे रहते हैं
इक ज़रा क़ुर्ब-ए-समाअ'त के लिए
कितने ही ज़ीने मैं उतरा हूँ तुम्हारी ख़ातिर
झाड़ कर अपने बंद की मिट्टी
चंद ज़ीने ही सही
तुम भी तो ऊपर आओ
और नीचे न उतारो मिरे सामेअ' मुझ को
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Zaheer Siddiqui
As you were reading Baaten Shayari Shayari