ghairat hai ki haya | ग़ैरत है कि हया

  - Zaheer Siddiqui

ghairat hai ki haya
naam us ka na liya jis ko pukaara us ne
us gai raat ke sannaate mein kaun aaya hai
band darwaaze ke masj mein to seeta hi hai
aur baahar
koi raavan to nahin
kaun hai kaun ki sahmi si sada
vo bhi kuchh kah na saka main ke siva
dastaken raam ke makhsoos zabaan rakhti hain
gosh-e-seeta ke liye muzda-e-jaan rakhti hain
bulb raushan hua aur chaap qadam ki ubhri
choodiyaan bol uthiin
ungaliyaan kaath ki mizraab pe phir reng gaeein
dono pat khwaab se chaunke to ma'an cheekh uthe
ek hangaama hua raat ka afsoon toota
muntazar saaya-e-khijaalat ke dhuaan se ubhara
raat kaafi hui tum jaag rahi ho ab tak
aaj phir der hui
asal mein aaj ajab baat hui
theek hai theek koi baat nahin
muntazir shaakh jo lachki to kai phool jhade
aap munh haath to dho len pehle
aur minton mein main saal ko zara garm karoon
pyaar ki aag bhi raushan hui stove ke saath
dast-e-tanhaai ke ifreet bahut door hue
vasvase jitne the dil mein sabhi kafoor hue
harkat aur hararat mein magan dono badan
ye kirayaa ka makaan hai ki mohabbat ka chaman
ek ek lukma pe hoti hain nigaahen do-chaar
ek ek jurae mein mahlul tabassum ki bahaar
muztarib dil mein munavvar hain masarrat ke charaagh
jaani-pahchaani si khushboo mein hai mashhoor-e-dimaagh
aankhon aankhon mein siyah raat kategi ab to
hont se hont ki sougaat bathegi ab to

ग़ैरत है कि हया
नाम उस का न लिया जिस को पुकारा उस ने
उस गई रात के सन्नाटे में कौन आया है
बंद दरवाज़े के मजस में तो सीता ही है
और बाहर
कोई रावन तो नहीं
कौन है कौन की सहमी सी सदा
वो भी कुछ कह न सका मैं के सिवा
दस्तकें राम के मख़्सूस ज़बाँ रखती हैं
गोश-ए-सीता के लिए मुज़्दा-ए-जाँ रखती हैं
बल्ब रौशन हुआ और चाप क़दम की उभरी
चूड़ियाँ बोल उठीं
उँगलियाँ काठ की मिज़राब पे फिर रेंग गईं
दोनों पट ख़्वाब से चौंके तो मअ'न चीख़ उठे
एक हंगामा हुआ रात का अफ़्सूँ टूटा
मुंतज़र साया-ए-ख़जालत के धुआँ से उभरा
रात काफ़ी हुई तुम जाग रही हो अब तक
आज फिर देर हुई
असल में आज अजब बात हुई
ठीक है ठीक कोई बात नहीं
मुंतज़िर शाख़ जो लचकी तो कई फूल झड़े
आप मुँह हाथ तो धो लें पहले
और मिंटों में मैं साल को ज़रा गर्म करूँ
प्यार की आग भी रौशन हुई स्टोव के साथ
दश्त-ए-तन्हाई के इफ़रीत बहुत दूर हुए
वसवसे जितने थे दिल में सभी काफ़ूर हुए
हरकत और हरारत में मगन दोनों बदन
ये किराया का मकाँ है कि मोहब्बत का चमन
एक एक लुक़्मा पे होती हैं निगाहें दो-चार
एक एक जुरए में महलूल तबस्सुम की बहार
मुज़्तरिब दिल में मुनव्वर हैं मसर्रत के चराग़
जानी-पहचानी सी ख़ुश्बू में है मसहूर-ए-दिमाग़
आँखों आँखों में सियह रात कटेगी अब तो
होंट से होंट की सौग़ात बटेगी अब तो

  - Zaheer Siddiqui

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zaheer Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari