inhi sukhe hue maidaanon mein | इन्ही सूखे हुए मैदानों में

  - Zahid Dar

inhi sukhe hue maidaanon mein
ab jahaan dhoop ki lehron ke siva kuchh bhi nahin
sabz lehraate hue khet hua karte the
log aabaad the pedon ki ghani chaanv mein
mahfilein jamti theen afsaane sune jaate the
aaj veeraan makaanon mein hawa cheekhti hai
dhool mein udte kitaabon ke varq
kis ki yaadon ke varq kis ke khayaalon ke varq
mujh se kahte hain ki rah jaao yahin
aur main sochta hoon sirf andhera hai yahan
phir hawa aati hai deewani hawa
aur kahti hai nahin sirf andhera to nahin
yaad hain mujh ko vo lamhe jin mein
log azaad the aur zinda the
aao main tum ko dikhaaun vo maqaam
ek veeraan jagah eenton ka ambaar nahin kuchh bhi nahin
aur vo kahti hai ye pyaar ka markaz tha kabhi
kis ki yaad aaye mujhe kis ki batao kis ki
aur ab chup hai hawa chup hai zameen
bol ai waqt kahaan hain vo log
jin ko vo yaad hain jin ki yaadein
in hawaon mein pareshaan hain aaj

इन्ही सूखे हुए मैदानों में
अब जहाँ धूप की लहरों के सिवा कुछ भी नहीं
सब्ज़ लहराते हुए खेत हुआ करते थे
लोग आबाद थे पेड़ों की घनी छाँव में
महफ़िलें जमती थीं अफ़्साने सुने जाते थे
आज वीरान मकानों में हवा चीख़ती है
धूल में उड़ते किताबों के वरक़
किस की यादों के वरक़ किस के ख़यालों के वरक़
मुझ से कहते हैं कि रह जाओ यहीं
और मैं सोचता हूँ सिर्फ़ अंधेरा है यहाँ
फिर हवा आती है दीवानी हवा
और कहती है: नहीं सिर्फ़ अंधेरा तो नहीं
याद हैं मुझ को वो लम्हे जिन में
लोग आज़ाद थे और ज़िंदा थे
आओ मैं तुम को दिखाऊँ वो मक़ाम.....
एक वीरान जगह ईंटों का अम्बार नहीं कुछ भी नहीं
और वो कहती है ये प्यार का मरकज़ था कभी
किस की याद आए मुझे किस की बताओ किस की!
और अब चुप है हवा चुप है ज़मीं
बोल ऐ वक़्त! कहाँ हैं वो लोग
जिन को वो याद हैं जिन की यादें
इन हवाओं में परेशान हैं आज

  - Zahid Dar

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zahid Dar

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari