khoob-soorat hai zameen | ख़ूब-सूरत है ज़मीं

  - Zahid Dar

khoob-soorat hai zameen
dhoop mein chamke hue is shehar mein
zindagi dilchasp hai
aql ki baatein jahannam ki dhadakti aag hain
un se ham waqif nahin
amn hai aur neend hai aur khwaab hain
apni hi lazzat mein gum
jism hain
doston se door hangaamon mein main khoya hua
pur-sukoon
aah kitni khoob-soorat hai zameen
dhoop mein chamke hue is shehar mein
zindagi dilchasp hai

ख़ूब-सूरत है ज़मीं
धूप में चमके हुए इस शहर में
ज़िंदगी दिलचस्प है
अक़्ल की बातें जहन्नम की धदकती आग हैं
उन से हम वाक़िफ़ नहीं
अम्न है और नींद है और ख़्वाब हैं
अपनी ही लज़्ज़त में गुम
जिस्म हैं
दोस्तों से दूर हंगामों में मैं खोया हुआ
पुर-सुकून
आह कितनी ख़ूब-सूरत है ज़मीन
धूप में चमके हुए इस शहर में
ज़िंदगी दिलचस्प है

  - Zahid Dar

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zahid Dar

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari