poore kunbe se nafrat ya pyaar karo
ek se nafrat ek se pyaar ye kya hai
log sabhi ik jaise hain
jaahil hain to sab jaahil hain aalim hain to sab ke sab
zulm kisi ik shakhs se to makhsoos nahin hai
jis ko tum zalim kahte ho vo bhi
bachpan mein ma'soom tha khushboo ki maanind zarar se khaali
aur jis ko vidvaan ho kahte us ka zehan
kal tak chatte kaaghaz jaisa nirmal aur be-daagh tha
zalim ne us kunbe hi mein zulm ki shiksha paai
aur vidvaan ne bhi ye ulti seedhi baatein
logon hi se sun kar zehan mein bhar rakhi hain
ye logon ka kumbaa
ek mahaan darakht hai ham sab patte hain
hare ya sukhe meethe hain ya kadve
apna kya hai
ped ka ras ham sab mein yaksaan jaari-o-saari hai
पूरे कुँबे से नफ़रत या प्यार करो
एक से नफ़रत एक से प्यार ये क्या है
लोग सभी इक जैसे हैं
जाहिल हैं तो सब जाहिल हैं आलिम हैं तो सब के सब
ज़ुल्म किसी इक शख़्स से तो मख़्सूस नहीं है
जिस को तुम ज़ालिम कहते हो वो भी
बचपन में मा'सूम था ख़ुश्बू की मानिंद ज़रर से ख़ाली
और जिस को विद्वान हो कहते उस का ज़ेहन
कल तक चट्टे काग़ज़ जैसा निर्मल और बे-दाग़ था
ज़ालिम ने उस कुँबे ही में ज़ुल्म की शिक्षा पाई
और विद्वान ने भी ये उल्टी सीधी बातें
लोगों ही से सुन कर ज़ेहन में भर रखी हैं
ये लोगों का कुम्बा
एक महान दरख़्त है हम सब पत्ते हैं
हरे या सूखे मीठे हैं या कड़वे
अपना क्या है
पेड़ का रस हम सब में यकसाँ जारी-ओ-सारी है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Zahid Dar
As you were reading Baaten Shayari Shayari